Ya Ilahi Har Jagah Teri Ataa Ka Saath Ho Jab Parey Mushkil Shahey Mushkil Kusha Ka Saath Ho
Ya Ilahi Bhool Jaaon Naz'a Ki Takleef Ko Shaadiye Deedar Husney Mustafa ka Saath Ho
Ya Ilahi Gor Teera Ki Jab Aaye Sakht Raat UnKey Pyaarey Moonh Ki Subhey Jaan Fiza Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jab Parey Mehshar Mey Shor Daar o Geer Amn Deyney Waaley Pyaarey Paishwa Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jab Zubaney Baahar Aaye Pyaas Sey Saahib E Kauthar Shahey Jood O Ataa Ka Saath Ho
Ya Ilahi Garmee E Mehshar Sey Jab Bharkey Badan Daaman E Mehboob Ki Thandi Hawa ka Saath Ho
Ya Ilahi Naama E Aamaal Jab Khulney Lagey Aib Poshey Khalq Sattar E Khata Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jab Bahain Aankhain Hisaab E Jurm Mey Un Tabbasum Raiz Hoton Ki Dua Ka Saath Ho
Ya Ilahi Rang Laaye Jab Meri Bey Baakiyan Unki Neechi Neechi Nazron Ki Haya Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jab Chaloo Taareekh Raah E Pul Siraat Aaftaab E Hashmi Noorul Huda Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jab Sar E Shamseer Par Chalna Parey Rabbey Sallim Kehney Waaley Gham Zuda Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jo Duain Naik Ham Tujh Sey Karey Qudsiyon Key Lab Sey Aameen Rabbana Ka Saath Ho
Ya Ilahi Jab Raza Khwaab E Giraan Sey Sar Uthaaye Daulat E Beydaar Ishqey Mustafa Ka Saath Ho
AAMEEN....AAMEEN....AAMEEN
LAKHON SALAAM
Mustafa Jaan E Rehmat Pey Lakhon Salaam Sham'e Bazm E Hidayat Pey Lakhon Salaam
Shehr E Yaar E Iram Taajdaar E Haram Nau Bahaar E Shafa'at Pey Lakhon Salaam
Door O Nazdeek Key Sun-ney Waaley Wo Kaan Kaan Laal E Karamat Pey Lakhon Salaam
Jis Key Maathey Shafa'at Ka Sehra Raha Oos Jabeen E Sa'aadat Pey Lakhon Salaam
Jis Taraf Uth Gayee Dam Mey Dam Aagaya Oos Nigaahe Inayat Pey Lakhon Salaam
Patli Patli Guley Quds Ki Pattiyan Un Labon Ki Nazaakat Pey Lakhon Salaam
Woh Zubaan Jis Ko Sab Kun Ki Kunji Kahey Oos Ki Naafiz Hukoomat Pey Lakhon Salaam
Kul Jahan Milk Aur Jau Ki Roti Giza Oos Shikam Ki Kana'at Pey Lakhon Salaam
Jis Suhaani Ghari Chamka Taibah Ka Chand Oos Dil Afroz Saa'at Pey Lakhon Salaam
Ghauth E Azam Imam Mutuqqa Wan Nuqa Jalwa E Shaan E Qudrat Pey Lahon Salaam
Shafa-ee Maalik Ahmed Imam Haneef Chaar Baag E Imamat Pey Lakhon Salaam
Kash Mehshar Mey Jab Unki Aamad Ho Aur Beyjhey Sab Unki Shauqat Pey Lakhon Salaam
Mujh Sey Khidmay Key Qudsi Kahain Haan Raza
Mustafa Jaan E Rehmat Pey Lakhon Salaam
No comments:
Post a Comment