Tuesday, July 17, 2007

Aurat Ahaadees ki Roshni mei

1. Huzoor SAWS ne farmaya k jo aurat khushbuu laga ker mardon k pas e guzre taa'ke un ko bhi is ki mehek puhanche to woh aurat Zaania hai (targheeb S54 J2)

2. Huzoor SAWS ne farmaya jo aurat khushboo iter ko apne khaawind(shoshar) k ilawa kissi aur gharz k liye istimal kare gi to woh is k liye baa'is-e-Zillat aur sharmindagi hoga (kanzul A’maal S261 J8)

3. Huzoor SAWS ne farmaya k jo aurat apne kapron ko khaawind(shohar) k hgar k ilawa aur kissi jaga utaare gi to khuda taa'la us k parde ko phar de ga yaa'ni ruswa karde ga (kanzul A’maal S261 J8)

4. Huzoor SAWS ne farmaya k aye aurton tum apne mehram rishtedaaron k ilawa kissi mard se baat bhi na kiya karo (kanzul A’mal)

5. Huzoor SAWS ne farmaya k baari Taa’la aur us k farishte hamesha aisi aurat per laa’nat bhejte rehte hain jo Allah ki nafarmani ki cheezon mei se kissi cheez ki pardadari karne mei mubtila rehti hai (kanzul A’mal S265 J1)

6. Huzoor SAWS ne farmaya k aik aurat ki badkaari hazaar badkaar mardon ki badkaari jaisi hoti hai aur aik nek aurat ki neki 70 siddiqon ki neki ki jaisi hoti hai (Kanzul A’mal S265 J8)

7..Huzoor SAWS ne farmaya k aurton k liye do parde hain aik khaawind(shohar) aur aik Qaber yaa’ni dono jaghon k ilawa(be parda) rehne mei bepardagi hai(Kanzu A’mal S262 J8)

8. Huzoor SAWS ne farmaya k khula’( jo aurat mard se khud alayehdgi ikhtiyar karti hai) karne wali aurten aur banao singhar kar k ghairon k saamne aane waali aurten munafiqa hoti hain(Kanzul A’mal S262 J8)

9. Huzoor SAWS ne farmaya k kisi aurat ko jayez nahi k who aik din aur aik raat ka safer bhi kissi ghair mehram k saath guzaare (Mishkaat S221 J1)

10. Huzoor SAWS ne aurton ko mukhatib kar k farmaya k tumhara to ghar k kaam kaaj mei mashghool rehna inshallah taaa’la mujaahideen k jihad ko paa le ga ( Kanzul A’mal S267 J8)

11. Huzoor SAWS ne farmaya aurton ko raasta darmiyan se chalna durust nahi (bahiqi bahawala kanuzuhaqaaiq S294)

12. Huzoor SAWS ne farmaya k duniya momin k liye qaid khana hai aur kaafir k liye jannat (kanuz S162)

In ahaadees Mubarka ko bar bar parhen aur apna jaayeza lein k aya humare andar koi aisi kharabi mojuud nahi ager hai to maut aane se pehle door karne ki bharpoor koshish Karen warna qabr-o-hasher mei sakht azaab aur ruswaai ka saamna karma hoga

No comments: