Saturday, August 25, 2007

Shab-e-Baraa't

Hazrat Ali RA se riwayat hai k ghaib bataane wale Aaqa SAWS ne farmaya "Jab shaban ki pandarhvin(15) shab ho to is mei qayaam(ibadat) karo aur din ka roza rakho kyun k ghuroob-e-aftaab k waqt se hi Allah ta'ala ki rehmat Aasman-e-Duniya per naazil hojaati hai aur Allah taa'la irshaad farmata hai, hai koi maghfirat ka talab karne wala k mai use bakhsh doon. Hai koi rizk maangne wala k mai us ko rizk doon. hai koi museebat zada k mai use museebat se nijaat doon yeh ailaan tuloo' fajar tak hota rehta hai
(bne Maja Page 100 Shu'balimaan bahiqi jild 3 page 378 mishkat jild 1 page 278)

Is tuesday ko 28 aug ki raat shab-e-baraat hai, aap log se ho sake to tuesday aur wednesday ka zaroor roza rakhen

mamoolat-e-aulia karaam se hai k maghrib k farz aur sunnat waghaira k baad 6 rakat nafil do do rakat kar k parhne hain. pehlie do rakat se pehle yeh niiyat karen k 'Yaa Allah in ki barkat se daraazi-e-umer bilkhair ata farma' is k baad doosri do rakat mei yeh neeyat karen k 'Yaa Allah in ki barkat se balaaoun se hifaazat farma' aur is k bad waali do rakat mei yeh neeyat karen 'Yaa Allah in ki barkat se apne siwa kisi ka mohtaj na kar' her do rakat k baad 21 bar surah ikhlas ya 1 bar surah Yaseen balke ho sake to dono hi parh len yeh bhi kar sakte hain k aik shakhs Surah Yaseen parhe aur doosre khaamoshi se sunen is mei khayal rakhen k doosra koi is dauraan zaban se Yaseen Shareef ki tilawat na kare balke kuch bhi na parhe inshallah raat k shuru mei hi nekion k anbar lag jayen ge har bar bad surah Yaseen aik bar 'Dua-e-Nisf shaban' bhi parhen

is k baad aap apni jitni ho sake kaza namazen ada karen mukhtasir tareeqa bhi forum mei mil jaye ga aap ko

This tuesday night will be shab-e-Baraat in Pakistan, India and subcontinent inshallah. You all are requested to fast on tuesday(28 aug) as well as on wednesday(29 aug) and do ibadat in the middle night of the two days. There is no preion of any specific ibadat in the ahadees but yes there is one hadith advising us, which is as under:

It is narrated by Hazrat Ali RA that Our Holy Prophet SAWS said that do qayaam(ibadat) in the night and hold fast the next day because as soon as the sun sets the Blessing of Allah starts on this world's sky starts and Allah Taa'la says: is there any one who seeks Maghfirat so that i will give him maghfirat, any one asking rizk so that i will give him rizk is there anyone asking for relieve for problems so i will give him relief from problems and this continues till Fajr.

From above we know that it is advised to do ibadat this is for those who always ask me where is it in Quran and Hadeeth. I didnt need to tell this because if someone says thats allowed he dont need to give reference the one who says its forbidden he needs to give reference from Hadeeth. Anyways, From Aulia Allah's deeds we find this specific ibadat it is done in the following manner

Have to perform 6 rakats with three salaams first two rakat's intention will be for long life (daraaziye umer bilkhair) the intention for second couple of rakats will be protection from problems( balaaoun se hifazat) and third couple of rakats for keeping us only asking every thing from Allah(Allah apne siwa kisi ka mohtaaj na bana). Har do rakaat k baad read 21 times Surah ikhlas or read Surah Yaseen Once if possible and preferable read both if there r many people then one may reads loudly and others listen just make sure no one reads along with that person or do other talking and after that read Dua-e-Nisf Shabaan

For Women who have their period this shab-e-baraat they can do ibadat as well but reading Quran with the intention of Quran is prohibited they can do other ibadat which include Reading Durood Shareef, Istaghfaar, Zikr-e-Ilaahi, listening to Quran Tilawat, listening naat shariif etc.

No comments: