Wednesday, August 15, 2007

Kaza Namaz parhne ka asan tareeqa

Kaza Namaz parhne ka asan tareeqa
Assalam-0-alaiqum,

Iman laane k baad islam ka doosra eham rukun namaz hai, Qayamat k din bhi pehla sawaal namaz ka hi hoga hum ko chahiye k hum apni namaz jitni hum per kaza hain jald se jald ada kar len zindagi ka kya bharosa Abhi hai agle lamhe nahi

Waise To afzal aur aula yehi hai k tamam namazon ko poore tareeqe se parh len per humare nafs per yeh mushkil lage ga is liye kam waqt mei zada se zada namaz ada karne k liye Ulema Hazraat ne Namazon mei takhfeef ki ijazat di hai taa'ke hum apni zindagi ki namazen jo apni kotaahi ya sharayi majboori k bina ada na kar paye the.

Pehle to hum ko apni kotahi per toba karni chahiye k hum ne kitni namazen nahi parhi ya kaza kardein dil mei pakka irada karen k Ainda inshallah koi namaz kaza na hogiii aur puraani bhi inshallah poori ada karen ge, hum ko pehle hisaab lagaana hoga humaare zimme kitni namazen baaqi hain, is k liye ghalib gumaan karna hoga k 12 saal ki umer se aajtak kitne saal hue, phir un mei se kitne saal ki namazen ada nahi kien aik sal do sal jab ghalib gumaan hojaye k han k buhat se buhat itni to namazenn hongi is se kam ho sakti hain zada nahi to phir aahista aahista ada karna shuru karen

hum per Aik din ki 20 rakaten banen gi 2 farz fajar, 4 farz zuhar, 4 farz asar, 3 farz maghrib, 4 farz isha aur 3 witr.

aik baar hisaab laga liya k kitni namazen humaare zimme baaqi hain phir jaise sahoolat ho ada kar leni chahiye per aik baat ka khayal rakhna chahiye k kissi k saamne kaza namaz ada na karen, Namaz-e-Asar aur namaz-e-Fajr parhne k baad koi nawafil ada nahi kiye jaa sakte to ager aap sab k saamne ada karoge to her koi samajh jaye ga k aap kaza namaz parh rahe ho

Neeyat is tarah karen k Mai khaas Allah taa'le k liye apne zimme sab se pehli(Yaa sab se aakhri) namaz-e-Fajer ki do rakat farz ki neeyat karta hoon. Aap chahen to aik namaz ko poora karlen pehle jaise saari fajer kiii yaa aik aik din ki poori poori jis tarah sahoolat ho aap ko takbeer k baad Sana na parhen, Auzubillah, bismillah chhor den aur direct Surah Fatiha parhen phir us k baad koi bhi soorat milayen phir ruku aur sajda ki tasbeeh 3 bar k bajaye sirf aik bar parhen faraaiz ki teesri aur chauthi rakat mei surah fatiha ki jaga sirf teen bar SubhanAllah SubhanAllah SubhanAllah parh k ruku mei chalen jayen, akhri rakat mei Attahiyaat parhne k baad itna parhen "Allahumma Salle ala muhammadin" itna keh k salaam pher den Durood-e-Ibrahimi aur Dua chhor den.

Witr ki teesri rakat mei Alhumd shareef k baad surat milayen aur phir Dua-e-Qunoot ki jaga Sirf teen bar keh den Allahummaghfirli ya Rabbighfirliii yaa Rabbana Aa'tina fiddunia hasana ............azaabannaaaar phir baaqi namaz bataye gaye tareeqe se parh lein

is tarah hum jaldi jaldi apne zimme tamam kaza namazen ada kar saken ge, mera to aap sab logon ko mashwara yeh hai k aap log jaisa k jaante hain k Ramadan mei nafil ka sawaab farz jitna aur farz ka 70 farz k baraber to kyun na Ramadan mei nafil parhne k bajaaye hum apni kaza namazen ada karen aur zada se zada sawaab k saath saath apni namazen bhi poori karlen

ager kissi ko tareeqe se mutaa'liq sawaal hai to plz dont hesitate

No comments: