Hazrat Sayeduna Anas RA Narrated that Our holy Prophet SAWS said "whoever holds fast the three days thursday, friday and Saturday of Maah-e-Haraam he will be rewarded with 200 years of prayers"
Here Maah-e-Haraam means 4 islamic months Rajab, Ziqadh, Zilhaj and Moharram whoever holds fast in any of the three days in any of the months will be granted virtues of 200 years prayers
I tried my best and also with a friend's help i wrote all this in english i repent Allah if i wrote wrong translation anywhere
(Nuzhatul Majaalis J1 S100)
Hazrat Sayiduna Anas bin Mailk RA se marwi hai Allah k mehboob SAWS ka Farmaan-e-Aalishaan hai “ beshak jannat mei aik neher hai jis ka naam rajab hai us ka paani doodh se zada safed aur shehed se zada meetha hai jo Maah-e-Rajab mei Aik roza rakhe Allah azawjal use is neher se seraab farmaaye ga
Hazrat Sayiduna Usman bin Mata RA se marwi hai k Huzoor SAWS ne farmaya “rajab buhat azmat wala mahina hai Allah taa’la is mah mei nekiyan dugni kardeta hai jis ne rajab ka Aik roza rakha goya us ne aik saal k roze rakhe aur jis ne 7 roze rakhe to dozakh k saaton darwaze usper band kardiye jaayen ge aur ager kissi ne 8 roze rakhe to us k liye jannat k aathon darwaaze khol diye jayen ge aur jo dus roze rakh le to Allah Azawjal se jis cheez ko maange who use ata kare ga aur jo 15 roze rakhe to aasman se aik manaadi nida karta hai tumhare pichle gunaah bakhsh diye gaye ab apne aa’mal dobara shuru karo aur jo is se bhi zaayed roze rakhe to Allah us per mazeed karam farmaaye gaur maah-e-Rajab hi mei Allah ne Noah Alaih Salam ko kishti mei sawar karwaya to Noah Alahi Salam ne khud bhi roza rakha aur apne hum nasheenon ko bhi roza rakhne ka hokum diya.
Hazrat Sayiduna Abdullah ibne Abbas se riwayat hai k Sarware Konain Sallallahu Alaihi wa’aalihi wasallam ne farmaya “Rajab k pehle din ka roza teen saal k gunah ka kaffara hai, aur doosre din ka roza do saalon ka aur teesre din ka aik saal ka kaffara hai phir her din ka roza aik mah ka kaffara hai”
Hazrat Sayiduna Abu huraira RA farmaate hain k jo rajab ki sattayiiswein(27th) ka roza rakhe Allah taa’la us k liye saath(60) mah k rozon ka sawaab likhe ga aur yeh who din hai jis mei jibril Alaih salam Muhammad SAWS k liye peghambari le ker naazil hue the
Hazrat Sayiduna salman Farsi RA se marwi hai k Allah k Mehboob SAWS ka farman-e-AAlishaan hai “rajab mei aik din aur raat hai jo is k din mei roza rakhe au raat ko kayaam(ibaadat) kare to goa us ne sau(100) saal k roze rakhe aur yeh rajab ki sattayiswien (27th) tareekh hai. Ussi din Muhammad SAWS ko Allah ne Mab’oos farmaya
Hazrat Sayiduna Anas RA se marwi hai k Nabiyon k Salaar SAWS ka farmaan-e-Mushkbar hai
“Jis ne Maah-e-Haram mei teen din Jumarat(Thursday), Jumma(Friday) aur hafte(Saturday) ka roza rakha us k liye do sau saal ki ibadat ka sawaab likha jaaye ga”
Yahan maah-e-haram se muraad 4 Mah ziqadh, Zilhaj, moharram aur rajab hain in chaaron mei se jis mah mei bhi in teen dinon ka roza rakh lein ge to Inshallah do sau(200) sall ki ibadat ka sawaab paayen ge
No comments:
Post a Comment